This website in which I bring knowledgeable Tips, hacking, games, and crack software and tips and tricks computer. Internet related information and methods of Make Money online are available from which you can read in Hindi. The main purpose of this website which we get in software money, we can crack easily and use it for free.

Showing posts with label Affiliate Markiting. Show all posts
Showing posts with label Affiliate Markiting. Show all posts

Make money with Flipkart? Janiye Hindi ME!

Flipkart se Paise Kaise Kamaye? Janiye Hindi ME!


Flipkart ek India based online shopping portal hai jo ki online apne products ko sell karta hai. Aur ye bhi sach hai jaha users Flipkart ko paise dekar chije kharidte hai wahi ham FlipKart se paise bhi kama sakte hai. To aaj ham es post me sikhenge ki kaise ham Flipkart se paise kama sakte hai.

Flipkart Paise Kyo aur Kaha se deta hai?Koi bhi company ya Flipkart hi apko free me paisa to degi nahi, agar paise kamane hai to kuchh na kuchh to kaam karna padega. Aur haa theek vaise hi Flipkart me bhi apko unke products ko Affiliate links aur banners ke through promote karna aur jab bhi koi us link ya banner ke through koi bhi chij ya product buy karta hai to Flipkart apko paise dega.
Es kaam ko Affiliate marketing bola jata hai, jisme me tracking URL ke through alag alag companies ke products ko ham online sell karte hai aur badle me hame commission ke form me paise milte hai.
Flipkart se paise kaise kamaye
Affiliate Marketing ke upar detail me janne ke liye niche wala post padhe.
Affiliate marketing me Tracking URL kya hota hai?
Jaise ki name se clear ho raha hai ki Tracking URL apke orders ko track karne ke liye use kiya jata hai. Suppose, agar koi buyer direct flipkart ki site pe jakar agar products ko buy karega to company ko kaise pta chalega ki wo use kis affiliate ne bheja hai. Esliye affiliate companies tracking URL’s ka use karti hai ta ki wo track kar sake ki kis affiliate ne ye customer bheja hai unki site pe ta jo wo sahi affiliate ko uska commission de sake.
Ham es post me poora detail me padhenge aur sikhenge ki Flipkart ke sath judne ke liye aur paise kamane ke liye kya kya karna aur kon se steps ko follow karne hai.

Affiliate marketing me Cookies ya cookies period kya hota hai?
Ye bahut hi badhiya aur interesting question hai. Cookies ek chhoti c file hoti hai jo apke computer me chali aati hai jab bhi aap koi site open karte hai. In files ka koi nuksaan nahi hota balki hame fayda hota hai. Ye files hamari Internet surfing ko aur bhi interesting aur Asaan banati hai.
Ab sawaal ye aata hai to affiliate companies cookies ko kyo use karti hai? Kyo ki en Cookieske through affiliate comapnies ko ye pta chal jata hai ki kis affiliate se ye user aya hai.

Example dekar samjhata hu mai apko,
Kayi baar kya hota hai kuchh log aise hote hai jo hamari Ad ko dekhar use khaidna bhi chahte hai aur us ad ke through product buy ke page tak bhi jate hai, lekin wo product nahi buy karte us time kyo ki wo jante hote hai agar mai product buy karunga to Ad wale ko paisa milega. Wo sochte hai ki wo 2-3 din baad khud wo product unki site pe search karenge aur waha se direct company se buy kar lenge ta ki Ad wale ko commission na mile.
Lekin aisa nahi hota, chahe buyer jitni bhi chalakiyan kar le ek baar wo us ad ke through site pe chala gaya to chahe jaise marji wo product buy kare Ad wale ko commission mil hi jayega kyo ki uska link track ho chuka hai aur agar user 15 din ke baad bhi buy karta hai to cookies company ko bata deti hai ye buyer 15 din pehle kisi Affiliate ke through aya tha.
Ab buyer sochta hai chalo achha hua usne product buy bhi kar liya aur Ad wale ko commission bhi nahi mila hoga, lekin wo galat hote hai. Kyo ki Ad wale ko to paisa fir bhi mil gaya aapke na chahte huye bhi aur apko pata bhi nahi chala, to ye sab kaam cookies ki wajah se possible hota hai.
To is tarah Affiliate companies apne afiiliates ke interest ko bachane ke liye cookies files ka use karti hai. Ab to mostly har site cookies ko use karti hai.
Pehle ye chij naho hoti thi jiski wajah se affiliates ko bahut problem face karna padta haii. Aaj bhi kuchh affiliate companies me ye tracking nahi hai. To kis bhi affiliate company ke sath judbe se pehle ye sure kar le.
Aur jo affiliate companies es use karti hai wo apko pehle hi bata deti hai ki unka cookies period kitne time ka hai 60 days ya 90 days ya kuchh aur. Ye cookies period time hota hai ki company kitni der tak order ko track kar sakti hai real affiliate to track karne ke liye.
Yaha companies ka manna hai ki chahe user ne direct unki site se product buy kiya lekin use us site pe bhejne wala wo affiliate ya ad wala hi tha esliye wo ye sab karti hai aur ye sahi bhi hai.

Apko kya lagta hai?
Chaliye to ab aage badhte hai aur sikhte hai ki ham Flipkart se paise kaise kama sakte hai?

Hame kya kya chahiye hoga?
1. Koi bhi ek simple blog ya website
2. Facebook account.
3. Internet surfing ka knowledge.
4. Ek computer with Internet connection.

Kaise shuaruat kare?
1. Flipkart se paise kamane ki shuruat karne ke liye sabse pehle hame Flipkart ka affiliate banna hoga. Affiliate account ke liye Sign Up karne ke niche link pe click kare.

Sign Up for FlipKart affiliates.
2. Ab apko apni puri details dalni hai, blog ka ddress, category, apni information, apne bank ka details jisme aap paisa lena chahte ho, ye sab daalne ke baad apko wo form submit karna hai.
3. Uske baad apko Flipkart ki taraf se ek verification email ayegi, apko us email ko open karna hai aur usme diye verification link ko click karna hai.
4. Ab apka affiliate account tayar hai aur apke Flipkart ke products ko promote kar sakte ho aur sale hone apko income milega in the form of Commissions.

Ye bhi padhe,

HOW TO EARN MONEY ONLINE IN HINDI – 6 SECRET HINDI GUIDES

REMOVE "POWERED BY BLOGGER" ATTRIBUTION GADGET IN BLOGGER

ऑनलाइन पैसा कमाने के तरीके - घर बैठे पैसे कमायें! MAKE MONEY ONLINE IN HINDI


Product ka tracking URL ya affiliate link kaise milega?
Eske do method hai, pehla to aap affiliate tools me jakar products ko search kare aur waha se apko affiliate link aur banner dono mil jayenge. Ab aap chaho to banner aur link dono use kar sakte ho ya sirf link ke through bhi product ko sell kar sakte ho.
Dusra tarika hai,
Aap jis product ko  bhi sell karna chahte ho uska URL copy karke apne Flipkart ke account me paste kare aur waha se apna affiliate link generate kar sakte hai. Jaise ki niche photo me dikhaya hai.
Flipkart affiliate program ke liye sign up kaise kare

Flipkart ke Product ko promote kaise kare?

Flipkart ke products ko promote karne ke do tarike hai;
1. Ek to aap apni website ya blog pe uske banners laga do ta ki agar koi apke blog ka reader interested ho to wo banner pe click karke product ko buy kar le. Yab fir aap apne blog pe us product ke baare me ek post likh sakte hai aur sath me buy ke link me apna affiliate ka link daal de. Ta ki post read karne ke baad agar koi us product ko kharide t oapke link se kharida jaye aur apko income bhi ho jaye. Aur ha agar ye post google me rank ho jata hai tab to apko pata nahi kitni hi sales milengi aur tab hogi asli affiliate marketing.
Aisa ho sakta hai aur hota hai, jo experienced affiliate marketers hai wo aisa hi karte hai, aap bhi kar sakte ho lekin apko time dena, sikhna hoga ur experience gain karna hoga.
2. Dusra tarika ye hai ki aap us product ke link ko apne facebook profile pe, whatsapp pe, groups me, pages pe, comments pe kahi bhi share kar sakte hai aur us product ki khoobiyan bata kar unhe buy karne ke liye bol sakte hai. Agar koi buy karta hai to apko paise milenge flipkart ki taraf se.

FlipkKart paise kaise deta hai?
Flipkart 2-3 tariko se paise nikalne ki option deta hai. Yaha pe do tarike mai apse discuss karunga.
1. Apko gift voucher ya coupon mil jata hai jo ki aap online shopping ke liye use kar sakte hai. Use karne ka liye minimum 250 rupaye hone chahiye us coupon ya gift voucher ko redeem karne ke liye.
2. Agar aap Flipkart se apne bank account me paise lena chahte ho to aap wo bhi kar sakte hai, uske liye apke Flipkart ke account me kam se kam 1000 rupaye hone chahiye. Means aap 1000 rupaye kamane ke baad Flipkart se apni kamayi apne bank account me bhi le sakte ho ji apne register wala form bharte time daala tha.

Flipkart ke affiliate program se kyo judna chahiye?
Aaj ke time me har chij online bik rahi hai, apne bhi dekha hoga aaj kal har koi online shopping ko preference de raha hai kyo time bahut modern aa gaya hai aur koi bhi kisis se pichhe nahi rehna chahta. Aane wale time ye chijen aur bhi teji se badhne wali hai, to ham kyo pichhe rahe. Apko pata hai har koi online chije kharid raha hai to apke liye un logo ko guide karne ka mauka mil raha hai sath me apna link use karke uhne product buy karke dilwa sakte ho. Es tarah unko unka product bhi mil jayega aur apki kamayi bhi ho jayegi.
India me jyadatar kya hota hai, jo mai khud bhi dekhta hu, kuchh log online shopping karne ke liye ya products ko buy karne ke liye bahut excited hote hai lekin education ka level kam hone ki wajah se wo en chijo ko buy karne ke liye able nahi hote to kyo na aap un logo ki madad karo, un logo ko chije buy karke do, unko sikhao aur link apan daal do es tarah apko dono ko profit hoga.
Umeed karta hu aap mere kehne ka matlab smajh gaye honge.

Final Words:
Es post me Flipkart se paise kamane ke guide ke upar maine bahut se achhe se likha hai lekin fir bhi agar mujhse koi galti hui ho ya apko kuchh smajh me na aya ho to aap bina kisi jhijhak ke comment box me apni query puchh sakte hai, suggestions aur complaint bhi kar sakte hai ham us chij par poora dhyan denge aur apki poori help karenge, ye hamara waada hai apse.

How to make money with Affiliate Marketing? (In Hindi)

Affiliate Marketing Kya Hai? Isse Income Kaise Hoti Hai?

Internet se ya online paise kamane ki jab baat hoti hai to Affiliate Marketing ka name bhi sabse pehle aata hai. Affiliate marketing khud me ek bahut bada concept hai, aur ham us poore concept ko step by step es blog pe cover up karenge.Aaj ki post me ham Affiliate marketing se Introduce honge aur janenge ki Affiliate marketing kya hai? Affiliate marketing se ham paise kaise kama sakte hai? To chaliye shuru karte hai.
Affiliate Marketing Kya hai?
Affiliate marketing ka matlab hota hai kisi company ya uske product se sath jud kar us product ko online sell karna aur badle me unpe commission earn karna, jo hamari income hoti hai.
Chaliye Affiliate marketing ke concept ko thoda detail me jante hai. Affiliate Marketing English language ke do word ke combination se bana hai, Affiliate + Marketing. Affiliate ka matlab hota hai Sambandh banana ya kisi se attach hona aur Marketing ka matlab hai kisi bhi chij ki marketing karna advertise karna aur uski promotion karna.
Simple words me, Kisi bhi company ya advertisers ke product ke sath judna aur usko promote karke usko sell karna aur sale se jo return milta hai uske upar company ya product owner se commission lena.
Ye affiliate marketing ki Infographics apko bahut achhe se samjhayegi affiliate marketing ki power;
Affiliate marketing Infographics
Image Source: Commission Junction
Affiliate marketing sirf sale karne ka matlab hi nahi esme aur bhi bahut sari chije aur terms use hoti hai jaise ki;


CPS (Cost per sale)
Ye wo type hai jiske hamne definition me sikha hai. Means es type me hame comission tabhi milta hai jab ham product ko sell karte hai.


CPL (Cost per Lead)
CPL campaigns me affiliates ko sell nahi karna hota. Jab bhi koi reader ya user us product ke landing page pahuchta hai aur register karta hai ya call back ka form fill karta hai to lead complete mani jati hai. Esme ye matter nahi karta ki buye product ko buy karega ya nahi lekin user ne apna interest dikhaya to affiliates ko unka commision mil jata hai. Yaha commission kam milta hai CPS ke mukable.


CPC (Cost per Click)
CPC campaigns me jab koi user affiliate ke promotional links ya banners pe click karta hai to use commission mil jata hai. Yaha commission CPL se bhi kam hota hai leking aaj ke time me ese sabse best mana jata hai. Google Adsense bhi ek CPC Ad network hai.


CPM (Cost per Miles)
CPM campaigns me affiliates ko per 1000 views ke hisaab se commision milta hai. Esme sales, lead ya clicks ko koi importance nahi hota hai.
Upar jo types discuss ki hamne wo affiliate ki important types thi.
Affiliate Marketing se Income kaise hoti hai?
Jaise ki maine apko pehle hi bata diya affiliate marketing se income tab hot hai jab ham product owner ya advertiser ke product ko promote karte hai aur hame uspe action milta hai.


Affiliate marketing ke liye kya kya jaruri hota hai?
Affiliate marketing me apna kaam shuru karne ke liye apko niche likhe chijon ki jarurat pad sakti hai:
1. Ek website (Kuchh affiliates bina websiteke bhi campaigns deti hai jo aap social networking sites pe promote karke commissions earn kar sakte hai.)
2. Ek computer.
3. Internet connection.
4. Basic knowledge of Internet surfing and computers.
5. Email marketing (Eski jarurat apko aage jakar padegi).


Affiliate Marketing ki shuruat kaise karte hai?
Affiliate marketing ke liye aap kisi bhi company ya product ke owner se direct jud sakte hai lekin log jayadatar affiliate marketing Ad networks se judna pasand karte hai. Kyo ki aise me apko koi advertiser ya kisi company ko dhundna nahi padta ye affiliate marketing wali companies khud apko advertisers ke campaigns provide karwate hai puri details ke sath. Uske baad jo bhi aap kaam karte hai ya jis kisi campaigns ko promote karte hai uske accoding hamari jitni income hoti hai wo hamare affiliate account me jama hoti rehti hai jise ham withdrawal ke minimum threshold pe pahuch kar withdraw kar sakte hote hai.
Chaliye ab mai apko aisi hi kuchh top Affiliate companies ke baare me batata hu.


1. ShareAsale
Ek affiliate company worlwide kaam karti hai aur har tarah se campaigns provide karti hai. Esse approval lene ke liye apko ek achhi aur traffic wali website ka hona jaruri hai.
ShareAsale ka minimum withdrawal ka limit $50 hai.


2. AffiliateVia
AffiliateVia bhi Affiliate marketing company hai. Esme aap 2500 rupaye hote hi apne bank account me le sakte hai. Ye appki technical support ke liye telephonic support bhi provide karte hai. Aap es ad network ko bhi try sakte hai.
Vcommission ek bahut hi jaani pehchani aur purani company hai aur eska minimum payment threshold hai $100.
Agar aap en ke rules ko follow nahi karte ya unke against jate hoto apka account bhi ban ho sakta hai.


4. Google Adsense
Google Adsense ko log jyadatar affiliate company nahi smajhte hai lekin ye bhi ek Affiliate marketing company hi hai jo ki CPC model pe kaam karti hai. Ye sabse trusted Ad network hai kyo ki ye khud Google company ka ek part hai. Google se paise kaise kamane ka ye ek bahut hi achha source of hai.
Eska approval thoda mushkil hai minimum withdrawal $100 pe hai.
Ye bhi padhe,

ऑनलाइन पैसा कमाने के तरीके - घर बैठे पैसे कमायें! MAKE MONEY ONLINE IN HINDI

FlipKart affiliate marketing program
FlipKart ek India based online shopping site hai jo ke sath me affiliate marketing ki opportunity bhi provide karta hai. Means aap FlipKart se jud kar uske products ko promote karke bahut achha income kama sakte hai.
FlipKart se bank me paise lene ke liye minimum amount 1000 Rupaye hai.


6. Amazon
Amazon bhi FlipKart ke jaise hi ek online shopping portal hai jo online shopping ke sath sath affiliate marketing ki opportunity deta hai. Amazon eske bina bhi aur bahut sari services provide karta hai jaise ki aap apni ebooks ko online Amazon kindle pe sell karke paise kama sakte hai. To ab Amazon se paise kamana bhi aasan hai.


7. ClickBank
ClickBank bhi ek affiliate marketing company hai lekin ye bakiyon se alag hai kyo ki ye apko 75% tak ka commision offer karta hai.
Yaha pe bahut types ke product available hai jinhe sell karke aap Clickbank se bahut achha income kama sakte hai.
Clickbank pe physical products ke sath sath digital products bhi hai jinhe online sell karna bahut aasan hota to ap ese bhi try kar sakte hai.


Affiliate marketing se kitna kama sakte hai?
Affiliate marketing se aap kitna kama sakte hai ye depend karega ki apne kon sa product choose kiya hai aur uspe apko commission kitna mil raha hai. Apki monthly sales kya hai? Apke promotion ka tarika kya hai? Affiliate marketing me apko knowledge aur experience kitna hai?
Kuchh log aise hai jo Affiliate marketing se mahine ka 1000 rupaye kamaye rahe hai to wahi kuchh log aise bhi hai jo mahine ka 20 lakh se bhi jada kama rahe hai. Ye wo log hai jo product sell bhi kar rahe hote hai aur buyer ko pata bhi nahi chal raha hota ki wo kisi affiliate ka product kar rahe hote hai.
Ye ek tricky chij hai aur affiliate marketing me success ka secret hai jo main apse discuss bhi karunga aur bahut jaldi sikhaunga bhi lekin time aane par.


Final Words:
Ye post apko sirf affiliate marketing ke concept se introduce karane ke liye likha gaya hai. Es post ko padhne ka baad ye mat smajhiye ki aap affiliate marketing sikh gaye. Affiliate marketing ek bahut bada concept hai jise ham step by step es blog realtricksandtips pe sikhte rahenge.
Es post ko padhne ke baad agar apke mind me koi bhi question ya affiliate marketing ko lekar koi bhi doubt hai to please commnet box me type karke apne doubts jarur clear kare ta jo apko aage ke concepts smajhne me aasani ho.

REQUEST HERE

Blogger Tips and TricksLatest Tips And TricksBlogger Tricks

Popular Posts