Blog post likhne ke liye haamre paas new and fresh ideas ka hona bahut hi zaroori hai. Tabhi ham per day one post likh and publish kar sakte hai. Ye post sabhi taah ke blogger ki help karegi, Isliye ise dhyan se ned tak read kare aur comment ke zariye apne vichar share kare.
Agar aapke paas blog post likhne ke liye new ideas nahi hai to aap ek success blogger nahi ban sakte. Kyoki agar aapke paas new and fresh ideas hai tabhi aap other blogger comptition kar sakte hai. Is article ham janege ki blog post likhne ke liye new ideas kaise generate kare and inse blog ki traffic kaise badhegi.
Agar aapke pass blog post likhnee ke liye new ideas nahi hai tab aap ya to other blogger ki copy karoge, ya phir aap sochne me hi time wast kar doge. Iska result niklega ki aap apne comptitor se bahut peechhe reh gaye hai. But don’t worry main is post me aapko new ideas generate karne ke aise tips bataunga ki aap daily new and fresh article likh sakte ho.
Blog Post Likhne ke Liye New Ideas Generate Kaise Kare
1 → Daily Other Blog Padhe
Ho sakta hai ki aapko other blog padhne me interest na ho, Lekin New idea generate karne ka ye best option hai. Apne blog ke niche related success blog padhe, isse hame bahut si new cheezon ka pata chalta hai. Sath me note-book zaroor rakhe and jo bhi aapko new topic dikhe use note kare.
2 → Read & Watch News
Apne blog ke nich related Letest news ke sath hamesha update me rahe. isse aapko daily kai new ideas milege, kyoki every field me daily development ho raha hai. Every new idea ko notebook me note kare.
3 → Read FaceBook Group(A & Q)
Social media ke baare me aap achhi tarah jante hi bahut si aisi cheeze hai jo social media khaskar facebook par pehle viral hoti hai and baad me news par telicast hoti hai. Isliye facebook ko daily check kare but 30 minuts se zyada time spend na kare. Facebook par aapke blog ke niche related A & Q wale group join kare. Waha log apni problems post karte hai, aapko jo bhi topic new lage use note kare.
4 → Connect With Quora
In dino zyadatar log apne question quora par poochte hai, isliye aapko yaha si bhi blog post likhne ke liye new ideas generate karne me help mil sakti hai.
5 → Share Your Experience, Publish Problogger’s interview
Every week ek post apne experience ke baare me publish kare, Log aapke baare hamesha janne ko ichhuk rehte hai. Apne blog par week me ya month me ek problogger ka interview publish kar sakte hai. Isse problogger se connectivity bhi increase hogi.
Conclusion –
Ye tips follow karke aap daily apne blog one new post publish kar sakte hai. Aapke readers ka bhi aapke prati bharosa badhega. Daily post likhne ke liye aapko new topic research karne me time bhi kill nahi hoga. Agar aapko ye article achha lage to ise social media par apne friends ke sath zaroor share kare.