Apni Khud ki Website Kaise Banaye:Internet se paisa kamane ki duniya me pehla kadam hota hai khud ka koi blog ya website hona. Aksar ham log ye sunkar hi dar jaate hai ki website banwani padegi, aur ham pichhe hat jaate hai kyo ki web designers bahut paisa mangte hai website banane ke liye.
Lekin sochiye agar ham khud hi apni Website bana sakte hai to hame kisi bhi web designer ke paas jane ki kya jarurat hai.
Ji haa to aaj es post ko padhne ke baad apko lagega ki aap khud hi bahut badhiya aur professional Web designer ban chuke hai. Aur aap bhi keh sakte hai Web designing sikhna asaan hai agar sikhane wala sahi mile.
Website banana bahut hi asaan hai lekin agar apko sahi guide aur training mile.
To ayiye, aaj mai apko ek bahut hi badhiya aur professional website banana sikhata hu wo bhi free me.
Paisakamaye.in website bhi ek free me design kiya gaya blog hai. Aap bhi es post me diye gaye steps ko follow kar ke apni khud ki website 1 ghante me bana sakte hai.
Website banane ke liye Kya-Kya Chahiye hoga?
1. Ek Gmail account.
(Agar nahi hai to aap gmail.com, open karke badi asaani se bana sakte hai 5 minute me.)
2. Computer aur Internet connection.
Website Banane ke steps:
1. Sabse pehle apko www.blogger.com website ko open karna hai.
2. Fir aap waha apni Gmail Id aur password daal kar login kare.
3. Uske baad apke saamne jo page open hoga waha ek “Add New Blog” ka button hoga, waha pe click kare.
4. Ab apse sabse pehle wo blog ka title puchhega, uske baad URL puchhega.
(URL ka matlab hota hai apne blog ke liye address select karna, for example:example.blogspot.com)
5. Title aur URL dalne ke baad apko niche bane box me se koi bhi simple sa template select karna hai aur “Create Blog” wale button pe click karna hai.
Lijiye Apka blog taiyar ho chuka hai. Ab aap apna blog apna URL daal ke open karke check kar sakte hai.
Domain (.COM ya koi aur TLD) Kaise Jode?
Yaha hamne apni website bana li hai lekin es website ke address ke last me .blogspot.com rahega. Agar aap chahte ho ke aap ki website bhi professional dikhe aur wo dot COM extension pe khule.
Matlab, xyz.blogspot.com ki jagah pe xyz.com se khule.
To eske liye apko apna ek domain book karna hai aur fir apni website ko us domain se jodna hai. Ye bhi bahut asaan hai to chaliye ye bhi sikhte hai ab.
Important message:
Domain book karna jaruri nahi hai, eske bina bhi aap apni website se paisa kama sakte hai, lekin agar aap apni website ko professional banana chahte hai to fir domain jarur book kare.
Domain book karne ke liye sabse pehle ham domain sell karne wali company ki website pe jayenge.
Mai hamesha Godaddy ya Bigrock se hi domain buy karta hu. To es post ham Godaddy se dot COM domain buy karna sikhenge.
Eske liye kya kya chahiye hoga?
1. 600 rupees domain ka kharcha
2. Pay karne ke liye ATM, debit card ya Internet banking.
Sabse pehle ham Godaddy ki website pe jayenge.
2. Ab Sign In pe click karke, fir “Create a New account” pe click kare jaise ki es image me dikhaya gaya hai.
3. Ab jo registration form open hoga usme apni detail daliye. Apko email ayega aap use verify kar lijiye.
4. Ab ham dubara se Godaddy ke homepage pe ayenge aur apni manpasand domain ko search karna shuru karenge.
5. Next page pe apko aur bhi services buy karne ko bola jayega lekin apko “No Thanks” karna hai.
6. Uske baad apko apne domain ka term select karna hai ki aap use 1 saal ke liye book karna chahte hai ya 2 saal ke liye. Neeche diye gaye picture ko dhyan se dekhiye.
7. Uske baad “Proceed to Checkout” pe click kare.
8. Ab aap billing address me apna poora adress likhe aur continue to payment kare.
9. Ab aap koi bhi payment mode select kar sakte hai jaise ki Net Banking, ATM/Debit Card, uske baad aap payment complete kare.
10. Aur apki domain book ho chuki hai.
Domain to Apni Blogger ki Website se kaise jode:
Abhi sirf domain book hua hai, site se jodna baki hai. To chaliye dosto ab wo bhi sikhte hai der kis baat ki.
1. Sabse pehle Godaddy pe apna account Login kare aur “My Domain” section me jaye.
https://dcc.godaddy.com/manage/
[Agar koi pareshani hui to aap es link ko copy paste kar ke apne domain wale section me ja sakte hai.]
2. Ab settings pe click kare aur “Manage DNS” pe click kare.
3. Ab apko Blogger me login kar ke apne blog ki settings me jaye. Ab ” +Setup a 3rd party URL to your blog” pe click kare.
4. Next page me apko apna domain daal kar save karna hai, domain ke aage www lagana jaruri hai, lekin wo apko error batayega aur apko CNAME records add karne ko bolega.
5. Niche diye gaye image ko dhyan se dekhiye apko Name, Label, or Host field aur destination address dikhega.
Ab in dono details ko hame Godaddy ka jo DNS manage wala page hamne open kiya tha waha add karna hai.
6. DNS add karne ke liye pehle checkbox me “CNAME (alias) ko select kare, fir name me www dale fir value me jo value hame blog ke sttings wale page me di gayi hai use copy paste kar ke daale.
Yahi step apki dusri baar bhi dohrana hai lekin yaha apko values ko change karna hai means www ki jagah pe dusrana name aur value me ham dusri value dalenge jo hamko blog settings me diya gaya hai.
TTL ko 1 hour hi rakhna hai.
Kuchh records apko pehle se hi dikhenge unhe kuchh nahi karna hai sirf apko ye do naye records add karne hai.
7. Dubar ham blog ki setting me jayenge aur apna domain add karenge aur es bar hamara domain add ho jayega.
Means ab aap jo bhi kam kroge blog pe wo apko apke domain pe dikhayi dega.
Ek aur baat yaha apka domain sirf www lagane se hi open hoga, agar aap chahte hai ki apka domain www ke bina bhi open ho to apko fir se blog settings me jaana hai aur domain ko edit karna hai waha apko ek check box dikhayi dega, “Redirect yourdomain.com to www.yourdomain.com” use select akr dena hai aur ho jayega.
8. Ab hamari website poori tarah se tayar ho chuki hai professional look ke sath.
Final Words:
To dosto apko ye guide kaisa laga apna feedback jarur de aur apne dosto ke sath bhi jarur share kare taki ham es education ko sab tak pahucha sake aur apne mission ko achieve kare. Share karne ke liye aap niche diye gaye share buttons ko use kar sakte hai.
Dosto, es tarike se ham web designer ko website banane ke liye dene wale paise bhi bacha lenge aur chahe to dusro ki help bhi kar sakte hai aur ap unse eske liye apni choti c fees bhi rakh sakte hai.
Dosto hamara mission ha India me Internet earnings ke bare me awareness failana aur logo ko online income kamane ka sahi rasta dikhana, aur esme hame apki help aur support ki jarurat padegi kyo ki ham apki support ke bina kuchh bhi nahi hai.