Make Money With Facebook In Hindi
Facebook se paise kamana ab bahur asaan hai. Ji haa ab aap Facebook ki Id se mahine ka 10-20,000 tak aaram se kama sakte hai.Generally ham log Facebook ko sirf naye friends banane ke liye aur chatting karne ke liye use karte hai. Kabhi ham logo ne aisa socha hi nahi ki ham log facebook ke jariye mahine ka Hazaaro rupaye kama sakte hai.
Lekin ye bhi sach hai ki Facebook se paise kamaana itna bhi asaan nahi hai, lekin agar thoda dhyan deta hai to aap bahut jaldi Income le sakte hai.
Es post ko padhne ke baad kuchh log aise honge jo bina kisi effort ke paise kamana shuru kar denge.
Facebook se kamayi karne ke liye hame kya chahiye?
Ye ek bahut hi achha question hai ki hame Facebook se kamane ke liye kya kya chahiye hoga. Jaise ki es post ke title se hi clear hai ki agar hame facebook se paise kamane hai to Facbook to chalan hi hoga. Aur facebook chalane ke liye Computer aur Internet connection bhi chahiye hi hota hai.
To main mudde ki baat aati hai ki Facebook pe aisa kya kare jo ham paise kama sakte hai.
Dosto, Facebook se rupaye kamane ke liye niche diye steps ko follow kare
1. Sabse pehle ek naya Facebook account banaye.
2. Ab apko Facebook pe Ek Page banana hai.
3. Facebook pe page banane ke liye pehle Apna Fb ka account login kare aur fir niche link pe click kare.
4. Ab aap ji bhi category ke upar page banana chahte hai us par click.
5. Ab Facebook apse page ke liye Information mangega. Usko bhare aur Create page pe click kare.
6. Uske baad aap apne page pe Profile picture add kare aur cover photo lagaye.
7. Ab apka page taiyar hai. Ab about us me apne page ke baare me likhe sath me aur bhi details daale.
8. Ab apko us page ko facebook pe share karna hai aur likes karwane hai.
9. Likes karwane ke liye aap apne friends ko invite kar sakte hai. Invite karne ka option apko apke page ke upar dikhayi dega.
10. Aap apne dusre friends ko editor bana sakte hai aur unko bol sakte hai ki aage wo bhi apne friends ko invite kare page ko like karne ke liye.
11. Ab jis chij pe bhi apka facebook page hai us se related waha pe status aur photos upload karna start kare es se apke likes bahut jaldi se badhenge.
12. Jab koi pane Facebook page ko like karta hai to ye page unke friends ko bhi show hota hai to wo bhi like karte hai.
13. Ek baar agar apke page pe 10,000-20,000 likes ho jate hai to smajh lijiye ab aap achhe paise kama sakte hai.
14. 10,000-20,000 likes hone ke baad page ke likes khud b khud hi badi teji se badhne lag jate hai.
Facebook page se Earning kaise hoti hai?
Ab aap soch rahe honge Facebook pe page to bana liya lekin earning kaise hogi, facebook sidha apko paise to dega nahi page ke liye. Ji haa bilkul, Facebook page banane ke liye paise nahi deta hai.
To ham kamayenge kaise?
Facebook se kamane ke liye ham apne Fb page ko 3 tarike se use kar sakte hai:-
1. Apne facebook page pe Ads dal kar
2. Affiliate products ko promote karke.
3. Apne page post sell karke.
1. Apne facebook page pe Ads dal kar
2. Affiliate products ko promote karke.
3. Apne page post sell karke.
Ye teeno chije apke liye nayi hongi, lekin aisa hota hai aur ye karna bhi bahut asaan hai. Mai apko ye teeno steps detail me bataunga.
1. Apne Facebook page pe ads dal kar.
Jab apka page achhe se chalne lag jaye aur likes bhi ho jaye to bas ek status daale ki aap apne page pe ads laga sakte hai. Aur price kam se kam 500 ya es se bhi jade rakhe page pe likes se hisaab se. Aap dekhenge ki kuchh hi din me apko apke page ke kitne buyers mil jayenge, aap unse baat kre apni deal final kare aur apne page ko sell kare aur paisa apne jeb rakhe.
Aise Advertisers se contact banane ke liye aap Blogmint.com pe sign up kar sakte hai [as an influencer].
Important: Kuchh guides me diya gaya hai ki aap Facebook page ko sell karke paise kkama sakte hai, lekin aisa karna Illegal hai. Technically aap kisi bhi page ko Own nahi karte aur na hi apnke paas uski ownership rehti hai. Aur aisa karna facebook ki terms and conditions ke against hai.
[Selling Facebook fanpages are not allowed at any cost, but you can earn money by selling and promoting your business and ads on your page]
2. Affiliate products ko promote karke.
Ji haa, ab apke pages pe likes hai tab to aap koi bhi chij ko achha sa message bana kar daal sakte ho useke liye bhi apko paise milenge.
Kaise?
Apko kisi bhi affiliate company ke sath judna hai aur fir unke products ko apne facebook page pe share karna hai jab bhi koi un products ko buy kart hai to affiliate company apko paise dete hai.
Eske liye sabse achha hoga Flipkart affiliate company.
Flipkart pe as an Affiliate sign up kare aur baad me unke products ko promote karna start kar de. Eske badle me apko Flipkart apki kamayi ko apke bank me de deta hai.
Jyada jankari ke liye niche diye wale link ko click karke padhe.
3. Apne page pe post sell karke.
Ji haa aap apne page pe posts ko share karne ka bhi ek average price rakh sakte hai. Jaise kisi ko apni chij ke baare me status dalwana hai, ya apne page ko share karwana hai. Aisa karke aap ek long term business kar sakte hai.
To upar diye steps ko agar aap follow karte ho to aap badi asaani se mahine ka 10,000-20,000 rupaye kama sakte hai.
Ye bhi padhiye,
HOW TO EARN MONEY ONLINE IN HINDI – 6 SECRET HINDI GUIDES
To der kis baat ki abhi start kare.
Aaj tak apne facebook pe chatting karne me apna Internet DATA ko waste kiya hai lekin ab baari hai usi DATA ka sahi istemaal karke, ek achhi income kamaane ka.
Final Words:
“Facebook Se Paise Kaise Kamaye: 100 – 200$ Har Mahine (Hindi ME Sikhe)” guide me maine apko Facebook se paise kamane ke steps ke baare me sikhaya hai. Fir bhi agar kahi pe apko koi confusion or doubt ho to please apni query Comment box me daale. Ham apki help karenge.
0 comments:
Post a Comment