This website in which I bring knowledgeable Tips, hacking, games, and crack software and tips and tricks computer. Internet related information and methods of Make Money online are available from which you can read in Hindi. The main purpose of this website which we get in software money, we can crack easily and use it for free.

Blogger Ki Har Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai Hindi

Blogspot blog ko 6 month se pahle AdSense se connect nahi kar sakte. but blog me custom domain add karke 3-4 din me AdSense account bana sakte hai. but problem ye hoti hai ki hume har post me har bar AdSense ke ads ke code paste karne padte hai. is post me mai aapko aysi trick bta raha hu. jisse aap ek hi bar me apne blog ki sabhi post me AdSense ke ads laga sakte ho. agar aap bhi blogger user hai to kyu na ek bar is trick ko try kiya jaye.

Blogger me post likhte samay har bar post me ad ke code paste karne padte hai. lekin ab aapki ye problem me 50% solve kar dunga. ab aap sabhi post me sabse upar sirf ek jagah AdSense ke ads code add karke dikha sakte ho. to chliye pahle aap Adsense Par Ads Kaise Banate Hai post pad kar AdSense par ads bana le. uske bad ye post follow karna. or agar aapko AdSense ke bare me or jyada jankari chahiye to aap humari AdSense se related post pad sakte ho.


Blogger Ki Har Post Me Adsense Ke Ads Kaise Lagate Hai

Ye bahut hi aasan hai. agar aapko blogger ki coding ki thodi bhi jankari hai to aap ye aasani se kar sakte ho. aap new blogger ho to step ache se follow kare. or agar na kar pao to niche comment me problem btaye.
Step 1: apne blog ke dashboard par jaye.
  1. or template section par click kare.
  2. Edit HTML par click kare.
choose edit html

Step 2: Ab html box me mouse le ja kar kahi bhi click kare. or Ctrl+F key button daba kar <data:post.body/> code search kare.
Step 3: Ab ye code copy kare. “Apna AdSense ads code yaha paste kare” ki jagah ads ka code paste kare.

<b:if cond='data:blog.pageType == &quot;item&quot;'>
<div align="center">
Apna AdSense ads code yaha paste kare.
</div>
</b:if>



Step 4: ab is code ko <data:post.body/> ke upar yani code se pahle paste kare.

Paste code above
blog template me “<data:post.body/>” code kei jagah par hoga. hume dusre code ke upar code paste karna hai.





Change Ads Placement:

  1. agar aap ads post ke ke bich me nahi dikhana chahate to. code me diye center ki jagah right ya left karke ads ko right or left me dikha sakte hai.
  2. agar aapke blog me post me ads show na ho to dusre <data:post.body/> ke niche upar btaye code ko paste karke try kare.
  3. agar aap post ke and me ads dikhana chahate ho to post me btaye code ko <data:post.body/> ke niche paste kar sakte ho.
I hope is post me btayi tricks se ab aapko bar bar post me code paste karne ki jarurat nahi padegi. to plz don’t ignore it. post ko share jarur kare. sath hi humari site ko subscribe bhi kare.
Agar new blogger hai aapko blogger ke bare me or bhi jankari chahiye to aap Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide post padiye. isme aapko blog ko design karne, seo friendly banane, fast loading banane ke sath or bhi bahut sari jankari milegi. so new blogger is post ko ek bar jarur read kare.

0 comments:

Post a Comment

REQUEST HERE

Blogger Tips and TricksLatest Tips And TricksBlogger Tricks

Popular Posts

Visitor