Apne blog website ki traffic kaise badhaye or visitors ka dil kaise jite. Aaj is post me main website blog par traffic kaise badhaye ke bare me batane wala hu. Waise to duniya me lakho logo ne blog bana rakhe hai magar wo sabhi blogging me success nahi ho pate hai. Iske kafi reasons ho sakte hai. Jaise blog par traffic na hona, Search engine me show na hona, Sath hi adsense approve na ho pana. Kuch bhi ho agar aap blogging me success hona chahte or apne site par traffic badhana chahte hai to ye post last tak read kare.
Actually, iska sabse bad reason hota hai ki log blog ko puri trah bana bhi nahi pate hai. Usse pahale hi adsense ke liye apply kar dete hai. Jab unke blog ko adsense check karta hai to blog sahi na hone ki wajh se blog ko reject kar diya jata hai.
Ab aap bhi janna chahte honge ki adsense ke liye blog ko complete kaise kiya jata hai. Agar janna chahte hai to is post ko dhyan se padhe.
Agar aap adsense ke bare me nahi jate hai to ye post Google Adsens Kya Hai? padhe. Is post me aapko adsense ki puri jankari mil jayegi.
Ab main aapko blog par traffic badhane ke bare me kuch tips or tricks bata raha hai. Agar aap apni site par traffic badhana chahte hai to aapko ye tips follow karne hai.
Website Blog Par Traffic Kaise Badhaye
Yaha main aapko wo sab karne ke liye kah raha hai jise karne se aapke blog par traffic increase ho jayega.
1. Fast Loading Template Use Kare:
Ye bat humesha yad rakhe aapka blog fast open ho. Agar aapka blog 3-4 second se jyada time me open hota hai to users aapke blog ko ignore kar sakte hai.
Isliye agar aap chahte hai ki aapke blog par jyada users aaye to apni site ko humesha fast open hone wala banaye. Iske liye koi achhi or fast template use kare.
2. Blog Post Me Social Share Button Add Kare:
Aapke blog ki template aesi honi chahiye jisme aapke blog ki post me social share button add karne ka option ho. Isse koi bhi user aapki blog post ko chahe to apne share kar sakta hai.
Jisse aapki post ke bare me jyada users ko pata chal paye. Agar aap apni blog post me social share button add karna chahte hai niche wali post padhe.
3. Blog Post Title Achha Likhe:
Website blog par traffic badhane ke liye ye sabse bada or kargar tarika hai. Kyuki jab aapki post ka title achha hoga to koi bhi aapki post padhna chahega.
Isliye blog post title ko top banaye sath hi aapke blog post ke title me minimum 60 word hone chahiye tabhi google aapki post ko jald index karega.
4. Dusre Blogs Par Comment Kare:
Aap jab bhi free rahate ho to dusre blogs par unki posts par comment kare or comment me apne blog ki URL add kare. Taki koi users aapke blog par aa sake.
Humesha apne blog ke users ko uski comment ka jawab de or uski help kare. Aesa karne se users apne friends se aapke blog ke bare me batana chahenge. Jisse aapke blog par traffic badhega.