Free Theme / Template Use Kyu Nahi Kare? |
Free Theme Kyu Use Nahi Kare? Free Template Kyo Use Nahi Karni Chahiye? Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons) in Hindi. Ji ha dosto is post me main aapko blog me free theme / template istemal na karne ke bare me jankari dunga taki aapki aankhe sach ko dekh sake or aap jan sako ki free theme template use karne ke kya fayde or kya nuksan hai.
Ham Indian free sunate hi apne common sense ko chordkar use pane ke liye crazy jo jate hai. Jaise:- Abhi koi company 500 MB data free de to use pane ke liye turant apne personal information uske sath share karne ke liye ready ho jate hai. Isse hame keval economical loss hi nahi ho sakta hai, balki koi cyber criminal hamare name ko misuse bhi kar serious crime kar sakta hai. Recently Jio Users ke Aadhar number sahit personal informations leak ho gaye the. Isse koi bhi misuse kar sakta tha. Aap achhi tarah se janate honge, reality men koi free product deta hai to uske badle vo kuch naa kuch (jaise – personal information, permition) jarur leta hai.
Iska sabse bada example hai Truecaller, jo chand paiso me aapke mobile ka behas personal contact list ko apne server par save kar leta hai aur puri duniya me public kar deta hai.
Abhi haal hi me maine ek client ke mobile number ko truecaller website par check kiya to main jan kar hairan rah gaya ki us Client ka Name, Full Address, Full Picture, Email show kar raha tha. Yeh comapanies sidhetaur par privacy policy ke sath khilwad kar rahi hai.Lekin socho? Hamare blogging life me kya hota hoga ? jahan 90% hindi bloggers free themes or free templates use karte hai. Matalab sidhe taur par ham apne blog ka full control kisi dusre person ke hatho me de dete hai.
WordPress platform ho ya fir google blogspot blogger platform dono par log blogging karte hai or internet par lakho free theme or templates mil jayegi. I sure bahut se theme providers good themes provide nahi karte or users ke sath dhoka karte hai.
Because is tarah ki themes / template me malicious code hote hai, jo regularly blog se related information jaise subscriber email id, username, password etc send karta hai, jo theme developer ke sever par save ho jata hai.
Ha, sabhi free themes free templates me malicious code nahi hote, par vo SEO Friendly & Fast bhi nahi hote. Matalab is tarah ki free theme keval promotion ke liye develop kiye jate hai.
Isliye Free Theme use nahi karana chahiye, aage main iske piche ke kai reasons ko points me bata raha hun.
Free Theme Use Karne Ke Fayde or Nuksan (Pros and Cons)
Free theme or template use karne ka fayda sirf itna hai ki aapko uske liye pay nahi karna padta. Free theme use karne ke nuksan is prakar hai. Main aya wordpress theme or blogspot blogger template dono ki bat kar raha hu.1. SEO Enabled and Clean Code Na Hona
Free themes me ki gai coding clean nahi hoti hai, jisse theme loading ke samay kai unusefull HTTP requests create karta hai, jo blog ko slow kar deta hai. Jisse sabse big bad impact Mobile User Experience par padta hai.
Isko lekar Google ne kuch mahine pahle hi clear kar diya tha, jo Mobile Users ka khyal nahi rakhega, uske blog ki ranking ko down kar diya jayega.
Aur vahi SEO Code Skima.org ke tags free theme me nahi hone ke karan blog ke desktop version par bhi traffic behad kam milate hai.
2. Data Stealing
Bad intension vale developer, jise hacker kahte hai, ve keval theme isliye develop karte hai ki big money earn kar sake.
Iske liye ve theme me malicious code ko hide tarike se implement karte hai, jo anonymously blog se related data ko send karta hai, jo hacker ke server par save ho jata hai.
Hacker un data ko marketing companies ko sell kar big money earn karta hai. Yahi karan hota hai ki hamare mobile inbox ya mail inbox me aise message mil jate hai, jiska hamane kabhi subscription liya hi nahi.
Is tarah ki theme ko nulled aur cracked theme kaha jata hai, ye aisa isliye kaha jata hai ki hackers sabse popular theme jaise Newspaper theme ki original copy me apne spying code install kar dete hai aur use free me offer karte hai.
Aur koi bhi new blogger bina kuch jaane khushi-khushi install kar leta hai aur anjane me hacker ko daily free data dene vala agent ban jata hai.
3. Unsafe Future
Theme me malicious code hone ke karan blog ka pura control (blog ka future) hackers ke hatho chala jata hai. jise vo kabhi hack kar sakta hai. lekin vo tab tak nahi karta hai, jabtak blog popular ho na jaye.
Is tarah ke malicious code aggressive hacker implement karte hai, jo theme install hone ke pahle din se hi blog ki traffic ko apne partner website par redirect kar dete hai.
Is tarah ki coding bade intelligent tarike se ready kiya jata hai, jo har samay infected blog ki traffic ko redirect nahi karta hai, balki jab traffic jyada hota hai. yani is problem ko asani se pakda bhi nahi jaa sakta hai.
Isi tarah vo kai infected blogs se traffic ko redirect kar apne partner websites par send karta hai. Jiske vo money earn karte hai.
Iske alava vo apne hacking website par send kar sakta hai, jahan greedy offers dekar aapke blog ke users ko apne jaal me fansane ki koshish kar sakte hai.
5. Waste of Money and Time
In last, infected free theme ke karan blog par achhi traffic nahi milata hai, jisse money earn karne ke bajaya hosting aur domain ke liye spent money aur time waste ho jate hai.
6. No Regular SEO Updates
Free Theme keval promotion ya specific object ko pura karane ke liye banaya jata hai. Isliye Regular SEO updates milane ka chance hi nahi banata hai. Jabki Google every 6 months SEO changes karta hai.
Jiske anusar jo Blog ke changes kar leta hai, uski traffic stable bani rahti hai, jabki free theme vale blog ki traffic down ho jati hai.
0 comments:
Post a Comment